Monday, 27 June 2011

Kuch kami hai tere bagair

aaj kuch kami hai terebager
na rang hai na roshni hai tere bager
waqt apni raftar se chal raha hai
bas dhadkan thami hai tere bager

Saturday, 25 June 2011

yade

Yaado Mein Teri Tanha Baithe Hain
Tere Bina Labon Ki Hasi Gawa Baithe Hain
Teri Duniya Mein Andhera Na Ho
Isliye Khud Ka Dil Jala Baihte Hain...



------------------------------------------------


Nazar Nazar Se Mili Toh Sar Ko Jhuka Lega
Arey Wo Bewafa Mera Imtihaan Kya Lega
Use Charag Jalane Ko Na Kaha Kijiye
Wo Nadan Hai Kahi Ungli Jala Lega…



-----------------------------------------------------
KabhiKabhi hamein bhi yaad kar liya karo
hamari tasveer bhi dekh ke choom liya karo
maana ke tumhe kisi cheez ki kami nahin hai
par hamein bhi kabhi apni dua mein maang liya karo…



-------------------------------------------------------


Dil Bana Ne Wale Ne Dil Kaanch KaBanaya Hota,
Todne Wale Ke Haath Pe ZakhamTo Aaya Hota,
Jab Bhi Dekhta Apne Haatho Ko Wo,
To Unhe Humara Khayal To Aya Hota…


Friday, 24 June 2011

gajal

Meri Ghazal Ka Unwan Puchte Hain Log
Dil Mein Kaun Rehta Hai Naam Puchte Hain Log
Chord Ke Chala Gaya Mujhko Akela Shehar Mein
Kitne Me Bik Gaya Woh Daam Puchte Hain Log
Main Sang Dil Thi Ya Woh Tha Harjayi
Ek Yahi Baat Sar-E-Aam Puchte Hain Log
Kal Kya Hoga Mujhe Khud Khabar Nahi
Meri Mohabbat Ka Anjaam Puchte Hain Log

Friday, 10 June 2011

Jan and Life

Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurban yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari.



==============================
Kitna bhi chaho na bhol paoge
Hum se jitna dur jao nazdik pao ge
Humein mita sakte ho to mita do
yaadein meri, magar..
kya sapno se juda kar pao ge humein.

===============================
Dil ki aawaz ko izhaar kehte hain,
jhuki nigah ko iqrar kehte hain,
sirf paane ka naam ishq nahin,
kuch khone ko bhi pyar kehte hain

================================
na rokey aaj hamey koi dard mein doob jane de
jitney bhi ansoo kaid hai aaj unko bahane de
suna hai humney pani ki dhaar se patthar bhi katjate hain
dekhenge haal pe mere kya sangdil bhi pigal jatey hain
arey teez bijli ki dhaar bhi na unhey kaat saki
ansoo toh unkay saamney yuhi bekaar mein behjatey hain
pyaar ki ulfat unko kya maloom hai
jinkey jasbaat daulat ke samney bik jaatey hain