Friday 30 July 2010

Shayari is a way to flush Tension ......

****************************************** 
mile kai jeeven mein,
mila na koi tere jaisa,
bana rhe hamra saath,
khuda se yhi duwa karunga,
gila toh bahut hoga,
ho gayi agar dooriyan hamare beech,
mangenge phir bhi tumhari hi khushiya khuda se,
ek saugat ke roop mein,
khushiyon se daman bhare tumhara,
har koi ho sahara tumhara,
marne k baad tum aaye hamare,
kabr pe phool chadane,
samjhenge ye saubhagya hamara.

#######################################

'salamat rho tum' ye dua karenge,
har sans ke saath tumhe yaad karenge,
sansein na rhi toh labon se rab ke aage ,
tumhara naam lenge..............
########################################

haseen palon ko yaad kar jindagi katenge,
gam k palon ko yaad, jindagi sudharenge,
jo mila hai hume woh hi toh duniya ko denge,
jee rhe hai sirf itne sochkar,
ki shayad hum bhi kabhi kisi ki jarurat banenge.

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

jindagi adhoori si lagti hai abhi unke bina,
intazar rehta hai unka,
har waqt, har lamha toh chodo ,
har pal kattha hai jaise sadiyan,
har aahat pe lagta hai ,
jaise puri hui meri aas hai,


*****************************************
umeedon ka aanchal pakad kar rakhti hu,
kyuki kehte hai jeena isi ka naam hai,
dil se toh hain hum dono ek duje ke,
hum yahan toh woh bhi aahein bharte hai tanhai mein,

+++++++++++++++++++++++++++++++++++++

yaad dilata hai hume unki ye sama,
hum dono sada k liye ek hai,
chahe kuch bhi samjhe ye jahan......

0 comments:

Post a Comment

Tu comentario será moderado la primera vez que lo hagas al igual que si incluyes enlaces. A partir de ahi no ser necesario si usas los mismos datos y mantienes la cordura. No se publicarán insultos, difamaciones o faltas de respeto hacia los lectores y comentaristas de este blog.